Biwi pakistan gayi hai


Biwi pakistan gayi hai


Ghar ke kamon se ghabra kar
apni job se aajiz aah kar
6 hafte ki chutti pa kar
kar ke ghar ko sunsaan gayi hai
biwi pakistan gayi hai


sone ke set banwaye gi
shaan masale bhi laye gi
suit bohat se silwaye gi
silk ke le ke thaan gayi hai
biwi pakistan gayi hai


aish karon gi amma ke ghar
kaam karain ge nokar chakar
car mein le jaye ga shofer
le ke yeh armaan gayi hai
biwi pakistan gayi hai


pannu mein rehte hai aajkal chacha
changa manga mein taya hai
sab se mil ker ana hai
bana ke sare plan gayi hai
biwi pakistan gayi hai


boli rehna ache shohar
dafter se seedhe ana ghar
jate jate hath mein de
biwi pakistan gayi hai


trah trah ke khane paka kar
bhar dala sara freezer
take main na khaon bahir
ker ke poora etminan gayi hai
biwi pakistan gayi hai


ik din phone kiya us ke ghar
bole us ke mama asgher
who to le ke saara tabbar
aaj subha hi multan gayi hai
biwi pakistan gayi hai


dhoop or garmi se aa kar tang
mela huwa jab us ka rang
apni ik saheli ke sang
wahan se kaghan gayi hai
biwi pakistan gayi hai


aati hai us ki mail baraber
kehti hai mujhe ko bhejna doller
phas mushkil mein jaan gayi hai
biwi pakistan gayi hai.....

MuftPakistan.com Sign up for FREEUpdates.