ak masoom si larki
zamany nay kiya say kiya bana diya us ko
woh to thi ak masoom si larki
us ki ankhoon mai kitnay sapnay thay
har sapnay us kay apnay thay
magar jab say woh ghar say nikli
nokri karnay ki dhun mai woh massom larki
har buraee say apna ap bachati rahi woh larki
magr ak mor pay us ko dil ka sukh maila
dildar mila yar mila kehta tha na jee sakoon ga teray bin
magar kiya karti woh nasamjh larki
atbar kar bathi us larkay pay magr such kab chupta hai
woh to thi ak dilay beemar larki
waqt quzarta gaya halat badaltay geeey
or woh kehta gaya kal ma ko bhajoon ga
tera hath ab mang lon ga magar woh ak masson larki
apni massomiat gawa bathi apnay piyar ko dil laga bathi
jis ki ankhoon mai jugnoo boltay thay jis ki hansi pay kaeey dil dooltay thay
ab woh lagti hai sadyoon say bimar larki lachar larki
na aya kabhi woh zalim apnay wadoon ko nibhanay
kal hi dekha hai usay naya shikar phasany
ufff woh massooon larki kiya kary ab yeh lachar karki
mohabat kay hatoon apna ap ganwa bathi
ghar nikli thi kuch kamanay ghar ka boojh uthanay
magar zalim lay gaya us ka saray khazanay
woh ak masooom larki ab to buss hai lachar larki
us kay sapnay toor gaya zindagi mai us ko akala choor gaya
kiya yehi sila hai mohabat ka zamanay mai
har say poochti hi woh masoom larki
us ko na ana tha na aya woh kabhi
ab to rehti hai beemar larki
us ki ankhoon mai ap deep nahi jaltay
us kay chahary ap mayoosi hai
deekho mohabt na karna
yeh karday gi barbad tum ko bhi
yehi kehti phirti hai beemar larki
Masoom si larki ki sada deekho mohabt na karna !!!!!
MuftPakistan.com Sign up for FREEUpdates.